Utsahit pantagabaz Chinese manjhe (kite strings) ka upayog logon ke jeevan ko khatre mein daal rahe hain. Pratibandh ke baad bhi Chinese manjhe ka istemaal ho raha hai, jo prashasan ki badi laparwahi ko darshata hai.
Madhya Pradesh mein Makar Sankranti par har saal nylon ki Chinese manjhe mook pashu pakshiyon ke saath-saath aam insaan ki jaan le raha hai. Lekin Chinese manjhe bechne walo tatha khareedne walo par prashasan dwara koi kargar kadam nahi uthaye jaane ke kaaran Madhya Pradesh ke Dhar shahar mein Ravivar shaam 6 varshiya Kanishk ki dardnaak maut ho gayi. Vahi, 65 varshiya buzurg ki Chinese manjhe ki chapet mein aane se uski jaan khatre mein padi gayi. Ek saadhe chaar saal ke maasoom ke chehre par bhi Chinese manjhe se kat laga gaya, jiske baad 10 stitches lagane pade.
Utsahit pantagabaz Chinese manjhe ka upayog kar logon ke jeevan ko khatre mein daal rahe hain. Pratibandh ke baad bhi Chinese manjhe ka istemaal ho raha hai, jo prashasan ki badi laparwahi ko darshata hai. Baat ye hai ki 6 varshiya maasoom balak Kanishk apne pita Vinod Chauhan ke saath baithkar motorcycles par ja raha tha, tabhi Hatwara mein China manjha ki chapet mein aane se uska gala kata gaya, jise turant upchar hetu chikitsalay le jaaya gaya, jahan uski maut ho gayi. Is dukhad ghatna ke baare mein shahar mein logon ko pata laga, to logon mein China manjha bechne wale aur kharedne wale ke saath-saath prashasan ke khilaaf rosh prakat kiya.
Pita ke saath ghar laut raha tha Kanishk. Police ke anusar ye ghatna shahar ke Hatwara chowk par us waqt hui, jab Vinod Chauhan apne chhah-varshiye bete ko bike par peeche bithakar kahin ja rahe the. Adhikariyon ne kaha, “Chauhan apne ghayal bete ko ek niji aspatal le gaye. Vahan se use (bachche ko) jila aspatal le jaaya gaya, jahan chikitsakon ne use mrityu ghoshit kar diya.”
Dosiyon ke khilaaf koi sakht karravai nahi… Chinese manjhe se prativars pashu-pakshiyon ke saath-saath aam insaan bhi chapet mein aa rahe hain, lekin iski bikri par koi rok nahi lag pa rahi hai. Prashasan dvara Chinese manjhe ko lekar sakht aadesh to jaari kiye jaate hain, lekin dosiyon ke khilaaf koi sakht karravai nahi ki jaati hai, jiska khyaal prativars aam insaan apni jaan dekar bhugat te hain.